Monday, May 14, 2007

Dil aur Zuban !

Dil gumsum, zuban khamosh,
Yeh aankhen aaj num kyon hain,
Tujhe kabhi paya hi na tha,
to tujhe aaj khone ka gum kyon hain


I dont know the writer, but Highly Appreciated!!!

Saturday, May 12, 2007

Mind Blowing - Nusrat Fatehali Khan

U will agree with me - its simply mind blowing !

Afreen Afreen: Nusrat Fateh Ali Khan

Husn-e-jaana ki tareef mumkin nahi
Afreen afreen
Afreen afreen
Tu bhi dekhe agar to kahe hum-nashi
Afreen afreen
Afreen afreen

Aisaa dekha nahi khubsoorat koi
Jism jaise Ajanta ki murat koi
Jism jaise nigahon pe jadoo koi
Jism nagma koi, jism khusboo koi
Jism jaise machalti hui raagini
Jism jaise mehakti hui chandni
Jism jaise hai khilta hua ek chaman
Jism jaise hai suraj ki pehli kiran
Jism tarsha hua, dilkash-o-dilnashi
Sandali sandali
Makhmali makhmali

Afreen afreen
Afreen afreen

Aankhen dekhi to main dekhta reh gaya
Jaam do aur dono hi do aatisha
Aankhen ya maikade ke do baab hain
Aankhen unko kahoon, ya kahoon khwaab hai
Aankhen neechi hui to hayaa ban gayi
Aankhen oonchi hui to dua ban gayi
Aankhen uth kar jukhi to adaa ban gayi
Aankhen jhuk kar uthi to fazaa ban gayi
Aankhen jin mein hain qaid aasmaan-o-zamin
Nargisi nargisi
Surmayi surmayi

A ghazal by: Farhat Shehzaad




kia khabar thi ke mein is derja badal jaaoon ga
tujh ko kho duunga tere gham se sambhal jaaoonga
ajnabi ban ke miloonga mein tujhe mehfil mein
tuune chheri bhi to mein baat badal jaaoonga
dhhund paaye na jahaan yaad bhi teri mujh ko
aise jungle mein kisi roz nikal jaaoonga
zid mein aaye hue masoom se bache ki terha
khud hi kashti ko dabone pe machal jaaoonga

kuch keh kay khamosh ho gaye hum by Nasir Kazmi

kuch keh kay khamosh ho gaye hum.
kissa tha draz kho gaye hum.
tu kon hai tera naam kiya hai.
kiya such hai ke teray ho gaye hum.
ishk main jeet howi ya maat.
aaj ki raat na chair ye bat.
kuch na suna or kuch na kaha.
dil main reh gai dil ki bat.
phir jaray ki rut ai.chotay din or lambi raat.

Nasir Kazmi