Wednesday, December 29, 2010

Khvaab thaa yaa Khayaal thaa, kyaa thaa?


Khvaab thaa yaa Khayaal thaa, kyaa thaa?
hijr thaa yaa visaal thaa, kyaa thaa?

mere pahluu meN raat jaakar vo
maah thaa yaa hilaal thaa, kyaa thaa?

chamkii bijlii sii par na samjhe ham
husn thaa yaa jamaal thaa, kyaa thaa?

jisko ham roz-e-hijr samjhe the
maah thaa, vo saal thaa, kyaa thaa?

“Mushafi” shab jo chup tuu baiThaa thaa
kyaa tujhe kuch malaal thaa, kyaa thaa?

Ghulam Hamdani Mushafi

Translated by David Matthews from An Anthology of Urdu Verse in English.

Was it a dream of strange communion? What was it?
Separation, or was it union? What was it?

Last night when she was present by my side,
Was it the moon or was it the crescent? What was it?

Was it lightning flashing through the heaven?
Radiance or beauty dashing? What was it?

Our parting was not clear; I cannnot tell–
Was it a month or was it a year? What was it?

In silence sore oppressed I spent the night.
Could I have been depressed? Ah ! What was it?

hamaare shauq kii ye intehaa thii..



hamaare shauq kii ye intehaa thii
qadam rakhaa ke manzil raastaa thii

(shauq : desire; intehaa : apex; qadam : step; manzil : destination; raastaa : way)

bichaR ke Daar se ban-ban phiraa vo
hiran ko apnii kastuurii sazaa thii

(Daar : abode; ban : forest; hiran : deer; kastuurii : musk-deer)

kabhii jo Khvaab thaa vo paa liyaa hai
magar jo kho gayii vo chiiz kyaa thii

maiN bachpan meN khilaune toRtaa thaa
mere anjaam kii vo ibtidaa thii

(anjaam : end; ibtidaa : beginning)

muhabbat mar gayii mujhko bhii Gham hai
mere acche dinoN kii aashnaa thii

(aashnaa : friend)

jise maiN chhuu luuN vo ho jaaye sonaa
tujhe dekhaa to jaanaa bad-du’aa thii

mariiz-e-Khvaab ko to ab shafaa hai
magar duniyaa baRii kaRvii davaa thii

(mariiz-e-Khvaab : victim of dreams; shafaa : cure; kaRvii : bitter)

Javed Akhtar

Thursday, October 28, 2010

Khuda Yaad Aa gaya!



Mujh ko shikast-e-dil ka mazaa yaad aa gaya
tum kyun udas ho gaye, kya tum ko yaad aa gaya
barse baghair hi jo ghaTa, ghir ke khul gai
ek bewafa ka ehad-e-wafa yaad aa gaya
maaNgen ge ab dua keh use bhool jaayen ham
lekin wohi jo waqt-e-dua yaad aa gaya
kehne ko zindagi thi bahut mukhtasar magar
kuch yuN basar hui keh khuda yaad a gaya
hairat hai unko dekh ke masji me aie Khumar
kya baat ho gai keh khuda yaad aa gaya

( Khumar Barabanqvi )

Monday, October 25, 2010

few lines - close to heart

Phir raha hun shauk ke darya mein be qarar
Khud hi ai manzilon ab dhundh lo mujhe
..........
Jahan rahe ga waheen raushni lutaye ga
Chiragh ka apna koi makan nahi hota
...............
Ragon mein khoon ki garmi ka maujza hai tamam
Warna aadmi pathar se mukhtalif to na tha.
............
Sanson ke silsile ko na do zindugi ka naam
jeenay ke bawajood bhi kuch loog marr gaye
...............
Kehne ko zindugi thi bahut mukhtasar magar
kuch yun basar hui keh khuda yaad aa gaya
...............
Sanson mein bhi shamil ho lahu mein bhi rawan ho
lekin mere haathon ki lakeeron mein kahaan ho
...............
Rasm e Ulfat hi ijaazat nahin deti warna
Hum bhi aisa Bhoolein ke sada Yaad karo
...............
woh Shakhs meri Lash pe aaya, Na ro saka
Uss ko merey sukoon ka kitna khayaal tha
...............
Ya khuda log banaaye thay agar pathar kay
Meray ahsaas ko sheesha na banaya hota
...............
Woh ashk ban ke Meri Chashm e tar mein rehta hai
Ajeeb shakhs hai Paani ke Ghur mein rehta hai
...............
Ahsas ka andaz badal jaata hai warna
Anchal bhi ussi taar se banta hai kafan bhi
...............
Seeney se merey zeher utarney nahin detey
Zinda rahein woh loug jo marney nahin detey